thankx friends

Saturday, September 18, 2010

Putri(daughter) ka ptra(letter) apne Pita(father) ke naam









































Pita rashan hai
(kyoki bhojan ki vyawastha wahi karta hai)
PITA(father) anushasan hai
(hume aur hamare jivan ko anushasit wahi karta hai)
Pita shakti hai
pita bhakti hai
pita aan hai
pita shan hai
pita mahan hai
milta usi se hume samman hai!!
pita pyar hai
pita dulaar hai
pita sansaar hai
pita mela hai
(bachapan me apne kandhe par baithakar mela wahi ghumata hai)
pita intzaar hai
pita khilaona hai
pita hi astitva hai
pita hi parichay hai
pita hi bhavisya hai
pita hi vartamaan hai
pita humare ang ang me vidyaman hai!!
pita hai to duniya saath hai
nahi to hum anaath hai
pita ke bina duniya me koi aa nahi sakta
agar unka aashirwaad hai 
to BHAGAWAN bhi kat nahi sakta!!






























































Followers